Haidh

Q: Muje ek sawal tha toilet ko gae jab ek drop blood dhika oskai baad nai hova tha toh mae zohar ki namaz phadli namaz k baad period start hova kauch galthi toh nai hovi na mujse plz reply me. Aur muje haiz do din hota aur third fourth fifth day nai hota kabhi kabar hota kabhi kabar nai hota aur fifth sixth day hota vo bhi thoda toh namaz seventh day he gusul kar k phadna theek hai ya nai kuy ki kab hota kab nai hota exactly nai malom but sixth day thak thoda ek bar toh bhi black hota is may kya hukum hai seventh day se he phadna namaz plz reply me soon

A: Ye poora waqt haiz me shumaar hoga khoon ke pehle qatre hee se. Haiz ke zamaane me aap ku chaahiye ke aap namaz se ruke aur jab khoon bilkul band hojaye saatwi roz par, to aap ghusal karke do baara namaz parhna shuroo kare.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Labels: