Ahle Hadith ko musjid se rokna

Q: Kya musjid me kisi ahle hadith firqa ke logon ko namaaz parhne ke liye mana kiya ja sakta he? Aur ahle hadith hazraat ko masjid me sakhti se nahi aane ke liye bola ja sakta he? Jabke masjid ahle barelwi firqa ka he. Mene suna he ke masjid Allah ka ghar he. Jabke yaha musjid nayi tameer ki gayee he. Tameeri kaam me sabhi firqe ke logon ki madad se musjid bana he. Jab masjid tayyaar ho gaya to musjid ki zameen ki registery paper me dhokhe se likhwaya gaya he ke is musjid ke nigra sirf barelwi firka ke manane waale honge. Magar sachchayee ye he ke musjid banne se pehle kuch chuninda lowg musjid ki zameen registry karwaane gaye we log awam ko dhoke me rakhkar barelwi firqa waali baat paper me likhwa diye jiske baare me awaam ko do teen saal tak maloom nahi tha ke is tarah ki baat registry paper me likha huwa he. Iska khulaasa tab huwa jab kuch ahle hadith hazaraat namaaz me zor zor se aameen bolte the jiski tanqeed barelwi aqaaid ke lowg karne lage wahi lowg tanqeed kar rahe the jo registry ke paper me likha huwa ko jaante the. Kaafi hangaama huwa to gaaw me baithak huwa jisme ye saamne aaya ke ye to sirf barelwi hazaraat ke nigraani ya unhi ke maanne wale jo karenge ya kahenge wahi hoga. Is jagah par barelwi hazraat ko chowr kar baki sabhi firqe waale bebas ho gaye. Aur majbooran sabhi logo ko masjid chorna para. Jabke tameeri kaam mein sab sath sath the. Gaaw me aksariyyat barelwiyo ka he. Ab mera sawaal he:

1. Kya kisi ko masjid se nikaala ja sakta he? Jabke dhoke me rakhkar paper banwaya gaya ho?

2. Awaam ko dhoka dene ka kya azaab he?

3. Kya dhoke me shaamil hazraat ke peeche namaaz hogi?

4. Ab ahle hadith wa doosre firke ke logo (barelwi ko chor kar) keya karna chahiye. 

A:

1. Inko kahe ke musjid ko dharoor aaye magar aameen ahista se parhe.

2. Dhoka dene wala saheeh aadmi nahi hota.

3. Namaaz saheeh ho jaayegi.

4. Hangaama ne kare. Sukoon ke saath rahe. Mashwarah aur mel milaap ke saath kaam kare.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)