Qasam towrna

Q: Mujhe ap se pochna tha k mein ne apni zuban se yeh qasam khayi k "mein Quran pak ki qasam' khati hon mein yeh gunah chor don gein aur mein ne bht hifazat ki apni qasam ki par kal mujh se meri qasam toot gyi aur jis baat ko qasam khayi thi woh mujh se gunah ho gaya. Mein bht pareshan hon mujhe plz batayain mein is ka kafara kya ada kerun Mein jis mulk mein rehti hon yahan maskeen fakeer nahi hotay mein pakistan se bahir Bahrain mein rehti hon mujhe plz mujhe batayain mein kaisay qasam ka kafara ada kerun Mein ne namaz parh k apnay zuban se kaha tha k mein Quran ki kasam khati hon yh gunah nahi kerun gein par mujh se ho gaya woh gunah kal. Ap k jald reply ki muntazir hon.

A: Is gunaah se aap Allah Ta'ala se towbah kare owr dil se pukhta azam kare ke aainda aap ye gunaah nahi karengi. Isy tarah qasam towrne ka kaffara ada kare. Qasam towrne ka kaffara ye he ke aadmi das miskeeno ko kapra pehnaai us qadr kapra jis me namaaz ho sakti ya das miskeeno ko sadaqatul fitr ke miqdaar ke baraabar pesa dow. Agar kisi ko is par qudrat ne ho, to teen din musalsal roza rakhe kaffara ki niyyat se.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)