Dil me niyyat karna se kya nazar waaqi hota he?

Q: Mere 12 ke exams the to mene niyat kari thi ke Allah mujhe pass karde me jamat me jaouga phir mene ek din niyat kari ke Allah mujhe pass karde me 40 din ki jamat me jaounga par phir mujhe laga ke tune jayda din keh diye phir ek do din baad mene niyat kari ke Allah mujhe pass karde me jamat me jaounga chahe vo kitne bhi din ki ho 40 ya 10. phir mujhe laga ke mene do niyat karli to mujhe dono me jana pade ga phir me 10 din ke liye chala gya tha par ab mere se 40 me nahi jaya gayga me iska kaffara dena chahta hu app mujhe bta dijiye ki me kitna kaffara du

mere dusra question ye hai ke agar koi admi 40 din ki jamat ki niyat kare or phir use lage ke usne galat kar diya hai or use jana na ho or vo toba karle to kya sahi hai?

A: Agar sirf dil me niyyat ki, to nazar waaqi nahi huwi aur us ka kaffara aap ke oopar waajib nahi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)