Qurbaani ka nisaab

Q:

1. Aesy kapray or jotay jo anay janay ya shadi wghera pa pehnay walay hotay hn kia wo bhi qurbani k nisab ma shamil h?

2. Kia artificial jewellery churrian bhi qurbani k nisab ma shamil h?

3. Kia extra writing pads diaries copies bhi qurbani k nisab ma shamil h?

4. Kia zakat masjid ki tameer ma da sktaya hn?

5. Is tarah or jo masjid k box ma zakat di jaye ya kisi k zariye di jaye to us ma ye nahi kaha jata k ap ko malik bnaya kiu k samnay koi mojood nahi hota to kia istarha zakat ada ho jati h

A:

1. Agar kapre istimaal kiye jaate he, to us ka hisaab nahi lagaya jaayega.

2. Oopar ki tarah.

3. Agar istimaal ke lie rakhe huwe he, to hisaab nahi lagaya jaayega. 

4. Nahi

5. Agar Musjid waale zakaat ke peise le kar fuqara me taqseem karenge, to zakaat ada hojayegi, kyoonke faqeer ke milkiyat me phonch gayi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)