Zakaat, tamleek aur nisaab

Q:

1. Kia zakat sadqa jariya ma laga saktay hn?

2. Agar zakat kisi k zariye di jaye to us ma malik bnana ki shart kesy poori ki jaye?

3. Jab zakat dibay ma dali jaye ya kisi ko di jaye to us k sath aik page rakh den jis pa ye likh ho k ye pasay is kam ma use ki jiye ga to ye sahi ho ga?

4. Meray pas aik fanci suit 6000 ka un-stiched jise paray huay aik saal ho gaya h jo bhai ki shadi k liye lia tha kia is pa zakat h?

5. Or jahez k liye kuch zaroorat k bartan hn un ko bhi saal ho chuka h kia un pa zakat h? 

A:

1. Zakaat ke andar tamleek shart he. Aammatan sadaqah jaariyah me tamleek to hota nahi. Bilaa tamleek ke zakaat durust nahi.

2. Jiske zariah se diya jaaye usko kehde ke jisko diya jaa raha he zakaat woh zakaat ka maal usee ka hojaye.

3. Agar dene waale ne usee saheeh jageh par isko laga diya to zakaat durust hoga aur agar usne saheeh jaga ke oopar rakha nahi to zakaat huwa nahi.

4. Nahi.

5. Nahi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)