Sursraal ke ghar me shirk ki baate

Q: Mri shadi ko hue aj 4 mahinay hogaye hn main jis ghar main shaadi ho kay gai hun whn par peer o murshid ko sb kch manna jata hai main jab wahn rahi mainy daikha whn aik kamra hai jo safaid pardon sy dhakka hai jisko wo apnay peer yani janasheen ka kamra khty hn wo log unkay agy nauzubillah Sallah alaihi walai wasalm lagaty hn wo log us kamry main jaty hn roz ka mamool hai whn mard log us ghar ky kursi kay hathon ko chomty hn jisko wo dars bosi khty hn r aurten sajda karti hn jisko wo qadam bosi khty hn wo un kursi ky agy dua mangty hn mjhy ye karny ko kaha gaya mainy nahi kia abh main hamla ki halat main hn un logon kay ghar main quran kay phly page par blue pan sy apny peer ki hidayat likhi hain main namaz parhti hn tw khty hn ye sakht suraten hn main yaseen shareef parhti hn tw khty hn kay ye jo tm parhti ho issay hamary upar sakhti na ajaye quran o hadees ki roshni main mjhy kia karna chahiye is wqt mainy shohar sy alag ghar ka mutalba kia hua hai r kaha hai ye sb kam ap chor den jo kay galat hn abh ap mjhy bataye mjhy kiya karna chahiye is wqt quran o hadees ki roshni main.

A: Us jagah se fowran hat jaao. Jab tak khaawind aap keliye intizaam ne kare to meeke me na raho.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)