Zakaat aur qurbaani ka nisaab

Q: Meray pas sawa tola sona h or sath ma kuch raqm bhi h taqreeban 35000 jis par pooray saal ma zakat or qurbani bhi wajib joti h sir i dont earn but muja pocket money milti h jo saal ki 18000 banti h jo ma jama karti hun lakin muj pa saal ma qurbani or zakat banati h wo meri poket money se jo 18000 h taqriban 13000 ban jati h is tarh meray pas bohat kam pasay bachtay hn sirf 5000 btaye ma kia karun k zakat or qurbani farz na rahay muj pa insaan to is liye bhi jama karta h pasay k future ma kaam aa saken or kisi k aagay hath bhi na philana paray aesi bat nahi h k ma Allah ki rah ma dena nahi chahti lakin is tarha bohat kam bachta h or ghar walay ko bhi hota h k mera saray pasay isi tarah nikal jatay hn lakin muja aesa sochna acha bhi nahi lagta ma kia karun plz sahi se rahnumai farmaye

A: Agar kisi ke paas ayse maal ho jis par zakaat fardh hota he aur wo maal nisaab ke baraabar (ya us se ziyaadah ponchta ho) aur wo aik saal us ke paas rahe, to zakaat fardh he. Wo us kul maal me se 2,5 feesad zakaat ke tor par nikaal karke fuqaraa ku dede. Lekin agar aap ki zakaat ki taareekh par nisaab se kum maal aur paise ho, to zakaat fardh nahi he.

Agar qurbaani ke dino me kisi ke paas nisaab ke baraabar paise ho (agarche aik saal us paiso par nahi guzra) to qurbaani karna waajib he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)