Musalla dhone ka tareeqah

Q: Mera sawaal he ke jis cheez ko nichor nahi skate jaise musalla to kya usko lote me paani bhar ke uspe achhi tarah se bhade ayk do baar paak ho jayega ya pir usko teeno baar dhona or teeno baar qatre tipakna band ho jaye is se intizaar karke dhona parega? Aur agar baalti napaak ho jaye to kya usko hath se paani charo taraf daal de or baalti ko hatho se per ke paani se dho lene se paak ho jayegi ya phir poori baalti me paani bhar ke phenkna zuroori he? Or lote ko bhi ayse hi dhole ya usko bhi paani bharke phenkna zuroori he?

A: Usko achchi tarah paani ke saath bhigode aur bhigone ke bad sukhaade. Teen martaba is tarah karne ke bad woh paak ho jaayega.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)