Napaaki ko paak karna

Q:

1. Agar kisi ne napaak paani se ghusal kiya to jab wo dobaara ghusal karega to wo kis ihtiyaat se ghusal kare kyunke ab wo pura napaak ho gaya?

2. Agar sabun napak ho jaye to badalna parega ya behte paani me dhole?

3. Agar hum joote ko bheege kapde se ponchle to paak ho jayega ya phir paani se dhona hoga or kya teen baar ponchna zuroori he ya ek do bar ponchle?

A:

1. In cheezo ki taraf dhiyan ne de. Pehli dafa poori jism par paani bahaade aur doosri martabah isee tarah paani bahaade.

2. Behte paani me dhole.

3. Paak ho jayega.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)