Namaaz ku qadha karna

Q: Mujhe ajeeb ajeeb ghalat ghalat khiyaal aate he. Me namaaz parhna chahta hu phir baar baar namaaz choot jata he. Aur me jab istinja karta hu to thori der me aisa lagta ke phir mujhe zor se laga he ke istinja aur ayk do bund hogaya ho. Me khud bhi bohot qaabu karta hu ke ghalat nahi sochu phir bhi aisa hojata. Mera B.P bhi aaj kal barha huwa rehta he jabke mujhe ye sab shikayte nahi thi kabhi kabhi mujhe lagta ke sehar to nahi kiya hua he. Baraaye karam agar kuch ilaaj he to bataye.

A: Deen me Imaan ke ba'd tamaam faraaidh owr ibaadaat me se namaaz ku sab se ziyaada ahammiyyat di gai he. Namaaz ka maqaam nihaayat buland he. Hadith Shareef me aaya ke Qiyaamat ke rowz sab se pehla sawaal namaaz ke baare me hoga. Namaaz ku qadha karna haraam he. Bohot bara gunaah he. Sakht waeede Hadith Shareef me waarid huwi he us aadmi ke lia jo apni namaaz ku qadha kare. Kisee bhi haalat me namaaz ku qadha ne kare. Fuqaha ne likha ke agar koi shakhs bimaar he owr khare hokar namaaz parhne par qaadir ne ho, to wo beth kar parhe, owr agar wo bethne par qaadir ne ho, to wo leth kar ishaarah ke saat namaaz parhe. Gardh ye ke, kisi bhi haalat me namaaz qadha karna jaaiz nahi he. Aap sache dil se Allah Ta'ala se tawbah kare namaaz qadha karne se owr pukhta azam kare ke aainda aap koi namaaz qadha nahi karenge. Issy tarah fout shuda namaazo ki qadha bhi kare. Istinja karne ke bad, fowran wudhu ne kare, balke thowri der ke lia intizaar kare. Apne sharamgaah par tissue paper daalde taake peshaab ke zaaid qatre nikal sake. Phir jab saare qatre nikal jaai, to wudhu karke namaaz parhe.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)