Talaaq ka shubuh

Q: Mene or meri wife ne wife k father ki pension ka check cash karwane k liye wife ka id card merey nam se hatwa kar unke walid k nam se banwaya is sare matter main nadra ka banda shamil tha jia document khud hi banye or agey bhejey or ab jb doobara wife ka id card apne nam se banwaya to jo nadra officer ne new nikah nama register kiya or copy hamey di likin us new nikah nama main wife talaq yafta show ho ri hai... Main ne na to mun se kahi na likh kar di na talaq ki neat ki pr nadra officer kehta k walid k nam jab apki wife ka id card m ne transfer kiya us waqt m ne jali talaq nama lagaya tha.. to ab apki rehnumai chai k kiya us nadra officer ki is harkat se mera or meri wife ka talaq ho gya ya nai? 

A: Jab aap ne zabaan se talaaq nahi diya owr ne talaaq likhdiya, to talaaq nahi huwi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: