Ambulance khareedne ke liye konsa paisa istimaal karna?

Q: Hum log ek ambulanse kharidna chahte he trust k name se. Is me hum mariz k pas se diesel or driver or nominal maintanance ka kharch lege jo regular ambulanse ke kiraye se 40% jitna kam hoga. Khidmat k maqsad se lena chahte he. To ambulanse kharidne k liye kon sa paisa chahiye, Zakat, lillah, interest, Sadka or koi non Muslim donor se imdad le sakte he ya nahi?

A: Isme lillah aur sadqah hee istimaal kare. Zakaat ko har giz istimaal ne kare aur interest istimaal ne kare.

Jee haa ba shart ye ke woh apna ihsaan ne jataaye aur ne us se kisee qism ka ghalat faaidah uthaane ka dar ho.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)