Kin cheezo par zakaat waajib

Q:

1. Aik tola sona ka sath kuch pasay hon jis pa saal pa zakat banti h lakin is k sath jahez ki chizen par or writing pads or artificial jewellery par zaroorat se zayed kapro jooton waghera pa jin ko kuch saal bhi guzar gaye hon jo fil hal to use na kar rahay hon magar future ma zaroorat parnay par istimal k liye rakhen hon to kia in pa zakat or qurbani farz hogi?

2. Or agar sawa tolay sonay k sath pasay na hon magar ye sab jo upar btaya h usi tarahn ho to kia in sab pa bhi qurbani or zakat wajib ho gi?

A:

1. In cheezo par zakaat fardh nahi hoti.

2. Agar sona ya chaandi ya payse sab milaa karke zakaat ka nisaab banta ho to zakaat fardh hoga. Doosre saamaan ko is hisaab me saath ne kare.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)