Namaaz me shak

Q:

1. Me baitul khala jaane ke baad ghusal karleta hu aur phir tahaarat lene ke baad dekhta hu ke koi najaasat baaki he ya nahi to dekhne par kabi kabaar peeche ke raaste se ayk dam peechhe me thore zarraat rehte he jo peshaab bilkul bhi nahi he. Kya woh zarraat rehne se tahaarat saheeh hogi aur is shak ki wajah se me boht baar naaha raha hu.

2. Mujhe namaaz me baar baar shak aata he ke me ne kitni rakaat parhi aur har baar paanch rakaat fard parhraha hoon aur kabhi che rakaat. Kya iska koi ilaaj he aur jab me 2,3,4 rakaat main mujhe ziyaada pata hota he me ne itni rakaat parhi he aur phir bhi shak hota he aur phir me bhooljaata hoon ke mene kitne rakaat parhi he aisa shak hone par kya karna chaahiye?

A: 1. Tahaarat saheeh he agar koi najis he to us jagah ko dhole. Dobarah ghusal karne ki dharoorat nahi.

2. Ghaalib gumaan par amal karo. Ghaalib gumaan ka matlab ye ke agar 3 aur 4 rakaat ke darmiyaan shak ho aur ghaalib gumaan usko 4 samajhta he to 4 rakaat samajh karke salaam pherde aur ghaalib 3 ho to uske oopar 1 aur rakaat milaao. Aur agar kisee jihat tumhaara khiyaal nahi jaata to yaqeen par amal karo aur yaqeen he ke 3 aur 4 me yaqeenan 3 ho chuki to samjho ke 3 rakaat hogayi aur 1 baaqi he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)