Kisee owr ka saamaan apne bag me paana

Q: Mere abbu Mumbai gaye the shop ki liye saamaan laane by sumo car unho ne wapas aake samaan shop pe rakh diye or ghr aagaye jab dusre din wo shop pr gaye or saamaan ki bags kholne lage to unko usme ek bag mila jisme 3 burqa tha, unhe nai pata wo unke bag me kaise aaya unhone sumo car wale ko bhi bolkar rakha h k agar koi burqa puch kar aaye to mujhe batana. Is baat ko 2 hafte ho gaye h lekin abhi tak koi nai aaya burqa lene k liye mere sawaal yeh h k ab wo burqa humko kya karna chahiye? Kya hum usko use kar skte h? 

A: Jab maalik ka ata pata maloom ne ho to usko sadaqah me kisee ghareeb ko dede.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)