Qasam torna

Q: Mera sawal ye hai k 4 saal pehle mje aik larke ne kaha tha k wo mje pasand karta hai, mere sath class me parta tha, wo mujhse baat karna chahta tha.. Pasand to mje b wo tha par me aese larkon se baat karna us waqt sahi nh samajhti thi mje ye maloom tha k Allah ko naraz kiya to wese hi kuch nh milna..agar uski maan li to uski rehmat se umeed hai k nawaz de ga...mene usey kaha k khuda ki qasam me apse 3 saal baad baat karungi...usne itna kaha tha k me intezar karonga... Me medical k frst year me thi tub mene ye souch k qasam khayi thi k 3 saal baad me apne maa baap se iske barey me baat karungi to achi b lagon gi...lekin usko yehi kaha tha k me 3 saal baad apse baat karungi.. 2 saal guzar gaye uska koi ata pata na tha, achanak mene usko aik jaga dekha usne darhi rakhi hui thi phr pata laga tableegh me lag gya tha...aas paas k logon se uski bari naik naami suni... Phr Allah ne mje hidayat di, haram halaal ka farq samajh aya..3 saal guzar gaye...wada pora karne

A: Aap is qasam torde aur kaffaarah ada kare. Kaffaarah ye he ke 10 miskeeno ko do waqt khana khilaaye ya har eik ko kapra pehnaade ya har eik ko sadaqah fitr ka miqdaar de.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)