Company me invest karna

Q: Ek investment company he jisme invest karne se monthly 10 to 17 percent benefit milega invest kiye huve main amount ke hisab se. Masĺam mene 50,000 invest kiya to muje 10 percent ya 17 percent monthly munafa milega 50,000 ko chodke. Wo keh rahe he ke ye sood ka paisa nahi he, ye halal ka paisa he, wo kehte he ki company halal business karti he, jo benefit milta he wo investors ko 10 to 17 percent ke hisab se munafa deti he. Ab mera sawal sirf itna he, agar wo company wale jhoot bolke hame halal ke bajaye haraam ka paisa dete he to, ye paisa mere liye halal rahega ya haram?

A: Agar capital ke hisaab se feesad mutayyan huwa masalan das feesad aap ke paise par aap ku milega, to ye jaaiz nahi he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)