Peshaab ke qatre

Q: Jab peshaab karke me baahar aata hu to lagta he thora sa peshaab unadarooni karpro me hi ho gaya. Haalake me sahi se poora peshaab karke uthta hu phir bhi ho jaata he. Kya me napaak ho jaata hu? Kya mujhe nahaane ki zaroorat he?

A: Peshaab ke bad thora tissue paper rakhe, jab peshaab ke saare qatre nikal jaai to phir wudhu kare. Peshaap ke katre nikalne se aap napaak nahi hote aur ghusal waajib nahi hota. Agar peshaap ke katre kapre par aagaye, to us jaga ko dhole.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)