Surah Faatiha aur Surah Ikhlaas parhne se ek Quraan ke baraabar sawaab milna

Q: Kya 1 bar surah fatihah aur 3 bar surah ikhlsas parhna 1 Quran parhny ky baraber ha?

A: Is Hadith ke lia Muhadditheen ne mukhtalif tashreeh diya. Ayk tashreeh jo aam faham ke lia asaan he, ye he ke ayk dafa subhaanallah parhna sulusul Qur'an ka sawaab he. To teen dafa parhna teen sulus ke baraabar ka sawaab hoga. Ye laazim nahi he ke teen sulus poore Qur'an parhne ke sawaab ka baraabar hoga. Jaise ke kaha jaata he dawat ke khaane me roti poore khaane ka ayk sulus tha. Ziyada roti agar milya jaai, to doowsri cheezo ke qaaim maqaam nahi hoga.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)