Safar ki haalat me fajr ki sunnat parhna

Q: Agar banda musafir ho to fajar ki namaaz ki sunnat ki bhi qasar parhega ya nahi? Agar sunnat ki bhi qasar parhe to sawaal ye he ke qasar sunnat ki bhi qaza parhni hoti he reh jaane pe ya nahi?

A: Safar ki haalat me, fajar namaaz ki do sunnat parna zaroori he. Agar kisi ne fajar ka fard parha aur sunnat nahi pari, to bad me wo us ki qaza nahi karega. Sunnat namaazo ki qaza nahi he waqt ke guzarne ke bad.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)