Rukhsati se pehle bimaar shohar ki dekh baal karna hospital me

Q: Mera nikah 1 year pahle hua tha rukhsati nhi huyi thi lekin hm logo ki baat chit mobile pe husband wife ki tarah hoti thi achanak nikah k 6 months k baad se hi mere husband ki tabiyat kharab rahne lagi ar phir pata chala kidney me problem hai ilaj chalta raha bimari badh gyi ar phir shadi ko ek saal do mahina hua tha k achanak unki tabiyat zyada bigad gyi ar unhe delhi hospital me admit kiya gya .mai bhi delhi me thi to mai unke saath hospital me rahi kyuki mere husband ek minut bhi mere bina nhi rahna chah rahe the kyuki wo mujhe bahut chahne lage the lekin mere maa bahnon ko mera unke sath rahna pasand nhi tha lekin mai zabardasti ruk gyi phir discharge hone k baad bhi ghar me unke sath rahi kyuki wo bahut ro rahe the k mujhe chor k nhi jao mai tumhare samne marna chahta hu mai apne ghar walon k ladayi krke unk paas rahi phir unki death ho gyi .death dehradun me huyi hai jaha unki bahan ka ghar hai.mai ye jaan na chahti hu k mai bina rukhsati k husband k sath rahi unki dekh bhal kiya to kya mujhe iska gunah hoga kya mere maa baap bhai bahan sahi hai ar mai galat hu dusri baat mere husban ki ammi hayat se hai to wo bhi apni beti k paas ruki hai ar iddat tk mujhe bhi roke liya hai lekin isme bhi mere ghar wale ko aitraz hai kahte hai rukhsati nhi huyi to iddat mayke me hoga ya husband k personal ghar me ar dusri baat bina rukhsati k mere ghar wale rishte ka utna value nhi de rahe plz batayiye kya karu samajh me nhi aata kaun galat hai kaun sahi

A:

1. Gunah nahi he, balke khaawind ki farmaabardaari ki wajah se thawaab ki ummeed he.

2. Agar khaawind ka makaan tha aur usee me woh rehta tha aur usme rehne se koi dushwari aur khauf ne ho to usee me rahe.

3. Aap be-fikr rahe. Aap apne maa baap ko kuch ne kahe.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)