Ek shareek doosre shareek ka hissa ko az khud kam karna

Q: Pahla partner ek jagah ka malik hai,usne apnay paise se ek doosrey partner Jo kisi kaam ka maharat rakhta tha kaam ko set karaya aur kaam set hone ke baad us kaam ke karobar mein ab dono nein barabar ka paisa yani aadha aadha laga kar aur aapas me share ko nafey wala hissedari is tarah se kiya, pahle wale ka his ka jagah hai 60% aur doosray ka jisne kaam set kiya 40 % aur karobaar chal nikla, kuch dino ke baad in dono ne ek teesray nae partner ko shamil kiya apne karobaar mein bina uske kuch paise ke lagat ke 20% ka share diya, is tarah se ab un logon ne apna share aise tabdeel kiya, pahle ka 50% Jo jagah ka malik hai, doosray ka 30% jisne kaam ko set kiya tha, aur ab yeah NAE teesrey partner ka 20%, aur is tarah karobaar chal para, kuch dino baad doosra partner kaam per kam aaney laga, kyonki kaam set ho gya tha aur teesra usko sambhal raha tha، isi beech ek baik pahla partner Jo jagah ka malik hai usne doosray partner Jisne kaam ko set kiya tha usko kaha tum kaam per kam aatey ho isliye ab tumhara share 30% se ghata ker sirf 10% hoga, is per doosray partner ne kaam per aana band kar diya, phir pahle partner jiska jagah tha apna share 70% kar diya aur teesray partner ka 30 % ker liya. Sawal? Kya teesra partner 10% zayad lene ka haqdar hai ? Aur2 ab Jo doosra partner kaam par aana band kar diya, uska hisab kaise ho, aur kaam chal raha hai

A: Ye jaaiz nahi he. Koi shareek doosre shareek ke hisse ku az khud kam karne ka haq nahi he. Maalik zameen ka hissa 50% he aur doosre shareek ka hissa 30% he aur theesre shareek ka hissa 20% he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)