Haidh ki haalat me humbistari karna

Q: Mere shohar se mai mahino door thi aur jab mile tab mai haiz ki halat me hu to kya hum saath humbistari karsakte hai?

A: Haidh ki haalat me biwi ke saat humbistari karna haraam he. Biwi ke badan me se naaf se lekar ghutno tak ki jaga se showhar ke lia haat lagaana owr faaida uthaana jaaiz nahi he. Naaf ke upar owr ghutano ke neeche se showhar ke lia faaida uthaana jaaiz he. Lihaza haidh ki haalat me biwi ku chahia ke naaf se lekar ghutno tak ki jaga ku daamp le kisi kapre se owr phir showhar naaf ke upar owr gutno ke neeche se faaida uthaa sakta he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)