Awlaad ko darbar pe denge ki mannat

Q: 10 12 sal phly ki bat ha tb main college mein prhti thi. eak dost k galt character ki wja se meri zindgi mein bht sangeen masla paida ho geya tha. to tb ma ny manat k tor pey ye lafz boly thy k shadi key bad jo phli olad ho gi ma use shah dowla drbar pe dun gi jo gujrat me drbar ha. shadi se phly phr mje 1 din khawab me dkha k jis jga drbar ha. whn 1 bazurg or us k sath eak aurat thi wo us jga lety huy hn or ma nichy baithi hui hun unk pas to wo mje bolty hn key Allah tume bht rang lagaey ga or phla tume beta dy ga. pr usk dood pilai k paise hme dy k jany hn ab shadi ko 5 saal ho gy hn . olad abi tak nahi ha. drbar pe ja key un se mafi bhi mangi thi. or Allah tala se b mafi mangti hun. such puchein to us wqt olad kea cheez ha itni smj nai thi. tb aise bola tha ye lafz istemal kiy thy. k phli olad ko shahdowla drbar pe dun gi. ap mje bataein kea kru? kea aise manat manna thk ha?? kea manat wapas li ja skti ha. agr han to uska trika bta den. ya meri rehnumai kren. Allah apko eska ajar dy ga. meri preshani dor frma den.

A: Aysee mannat ko poora karna ghalat he. Aysee mannat maanne ki wajah se taubah karo aur istighfaar karo. Ye be wuqoofi ka nateejah he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)