Doosri biwi divorce chaahiye taake pehle biwi ko takleef na ho

Q: Mein ek divorced woman mera ek 13 years ka beta hai.4 saal phele meiny ek achy or naik man say nikha kiya hai..wo bhi phele say married hai un k 4 bachy hain.unhony apny ghar mein nhe batya na hi mery ghar mein ye baat maloom hai kisi ko...ab 4 saal bad ye baat un ki pheli wife ko maloom ho gye hai.or us n bht zayda hangama khra kr deya hai..un k bacho ko bhi maloom ho gya hai..un ki pheli biwi ki zehni halat theek nhe ye baat sun k or wo bht sadmay m agye hain..or ek hi baat kr rehi hain k mujhy divorce de dey..mujhy ye sab dekh k bht takleef ho rehi hai k meri waja say koi takleef mein hai kisi ki dil azari ho rehi hai meri zaat say.mainy apny husband say kha please ap mujhy divorce de dey.taky un ki life mein sukon ajye.. nikha say phele meiny apny sab haqooq maaf kr deye thy..na wo mujhy koi karcha dety hain na sath rehty hain..ab to wo pakistan mein bhi nhe rehty..aaty hain to humri mulaqt ho jati hai..wo apni family k sath turkey mein settle ho gye hain. beshak Talaq ek acha amal nhe..lakin kisi ki dil azari krna bhi to acha amal nhe..mein kya kro meiny un say divorce mangi hai..wo nhe dena chahty..lakin wo or un ki family bht takleef mein hain..or mein nhe chahti meri zaat say koi takleef mily..please mujhy koi soultion bata de.

A: Agar aap ki niyyat ye ho ke unke aapas ke ta`alluqaat behtar ho jaaye to durust he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: