Abortion ke ba'd haiz ya nifaas?

Q: Meri 6 weeks ki pregnancy thi aur baby ki heartbeat ny honi ki wajah sey abortion kardiye toh mai kitnay din kay baad ghusal karkay namaz pad saktiu?

A: Agar koi uzu (jeise ungli, kaan, haat, per) paida nahi huwa aur sirf khoon nikle, to ye khoon nifaas ka khoon nahi he. Agar teen din ya us se ziyaada khoon behne lage, to us ko haiz shumaar kya jaega. Haiz ke ba'd namaaz parhna shuroo karde.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)