Umrah me haidh aana

Q: Mein umra kernay gayi mery haiz (menses) ka den 7 ya 8 houtay hein lakin is bar mujay kuch khrabi ki waja sa zeada din date ayi mein na barwein (12) den gusul ker ka namaz perh li mein na Wednesday ko gusul kia or Monday ko umra kia es doran mujay dischaj ka sath hulka sa blood kisi wequt ho jata tha

1. Mujay pochna ha ka es halut mein mera umra sahi ha muj per koi kafarah to nahi

2. Aur jo mein na Musjid Nabi aur Haram Makkah mein namaz aur naful adda ki sahi ha muj per koi gunah to nahi

A: Agar aapki aadat ke bad khoon aata raha daswa din tak to daswa din ke bad ghusl karke namaaz shuroo karni chaahiye. Aur agar pandrah din se pehle pehle kuch khoon aaya to usko istihaadhah kehenge. Istihaadhah ka hukm ye he ke har fardh namaaz ke waqt ke liye wudhu ko duhraaye.

Jis tarah baat samjhaaya aapki namaaz saheeh he agar usee muwaafiq parhi ho.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)