Haidh dus din se ziyaadah hojaana

Q: Mera musla ya ha mujay haiz (menses) 7 ya 8 den atay hain lakin es bar den zeada ho gay mein na tukrebun 12 ya 13 den bad gusul ker leya owr numaz perhnay lagi owr gusul ka panjwein (5) ya chatay (6) den mein na umrah kia es doran mujay liquid ka sath hulki se bleeding kisi wequt ho jati thi kia mera umra sahi ha muj per koi gunah ya kufrah to nahi. owr mein na jo namazein owr naful kahna kabah owe musjed nubvi mein adda keay sahi hein muj per koi guna to nahi

A: Tumhara haidh wahi hoga jo pehli aadat thi 7 ya 8 din. Uske bad jo khoon nazar aaya wo haidh nahi istihaadhah he. Istihaadah waali aurat har namaaz ke waqt wudhu ko duhraaye. Phir waqt ke andar jo khoon nazar aaye us se wudhu nahi tutega. Aur waqt ke khatam ho jaane par wudhu tut jayega aur wudhu ko duhrana parega. Istihaadhah ki haalat me umrah aur tamaam doosre ibaadaat durust he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)