Sadaqah ko kis niyyat se dena aur kin logo ko dena?

Q:

1. Masjid ke chande ke dabbe me paise dalte waqt hame kya niyat karni chahiye? Kya hum sadqe ki niyat karsakte he?

2. Hafiz sahab ya Alim sahab ko paise hadiya dete waqt kya niyat karni chahiye? Kya hum sadqe ki niyat karsakte he?

3. Sadqa kin logo ko desakte he?

A:

1. Agar dabba sadaqah ka ho to sadaqah ki niyyat saheeh he.

2. Agar mustahiq ho. Albatta Ulama ko sadaqah ke bajaaye hadyah do unki izzat aur ihtiraam ki pesh nazar jis tarah apne waalidayn ko izzat aur ihtiraam ke saath dekhte he.

3. Ghuraba ko dena chaahiye.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)