Sunnat-e-muakkadah aur ghair muakkadah me farq aur teesri rakaat me sana se shuroo karna

Q: Main ye poochna chahta hu ke sunnate muakkadah me tashahud parh ke aur dua parh k 3rd rakat ke liye uthna he?

2. 3rd rakat me Sana se shuru karen gay?

3. Sunnat muakkadah aur ghair muakkadah k baaray me wazahat kar den.

A:

1. Mahadh tashahhud parhle.

2. Third rakaat ko Surah Faatiha se shuroo karenge.

3. Muakkadah chorna ghalat he aur moojib-e-itaab he aur ghayr muakkadah ko chorne se koi buraai laazim nahi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)