Discharge har waqt nikalna

Q: Female me white liquid ata he. Haalat ye he ke har waqt liquid ata rehta he namaz ka waqt hu tu kapre kharab hote he. Kapre aur wo jaga khas dho le aur namaz shuru karen tu itni see der me hi liquid nikal ke kapre pe lag jata he. Koi is ka hal to bataen.

A: Agar har waqt discharge nikalta he to awrat mazoor hogi. Mazoor awrat ka hukam ye he ke namaaz ke waqt ke shuroo me awrat wudu karegi aur phir us wudu se namaaz parhegi. Discharge ke nikalne se us ka wudu nahi tootega.

Agar awrat mazoor nahi he to jab bhi discharge nikal jaai us ka wudu toot jaaiga agarche discharge namaaz ke dawraan nikal jaai. Jab wudu toot jaai to wo us ko chahiye ke na paaki ko dhole aur jis jage par na paaki aayee kapre ke us jage ko bhi dhole phir wudu karegi aur namaaz parhegi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)