Qasam torne ka kaffaarah

Q: Agar hum dua mein kuch aisa maangte hai k ye cheez mai karungi ya na karungi tujhse waada karti hoon Allah, aur hum wo phir us waade per atal nahi reh sake to hume kya karna chahiye aur iska kiya kaffara ada karna chahiye?

A: Agar aap ne Allah Ta’ala se waadah kiya to ye eik qasam he. Phir agar aap ne waadah tor diya to qasam torne ka kaffara ada kare. Qasam towrne ka kaffara ye he ke aap das miskeeno ko do waqt khana khilaaye ya un ko kapra pehnaai us qadr kapra jis me namaaz ho sakti ya un ko sadaqatul fitr ke miqdaar ke baraabar paise dow. Agar aap ko is par qudrat ne ho, to teen din musalsal roza rakhe kaffara ki niyyat se.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)