Musafir lowg musjid me doosri jamaat karna

Q: Eik musjid me namaz ba-jamaat adaa ki gayee. Kuch musaafir hazarat tashreef late he aur dobara ba-jamaat namaaz adaa karte he, kiya dobara jamaat ke liye iqaamat ka kehna laazim he ke nahi?

A: Musjid me dosri jamaat karna jaaiz nahi he. Lihaaza wo log musjid me dosri jamaat na kare balke musjid ke baahar sehn me jamaat ke saat namaaz parhe. Dosri jamaat iqaamat ke saat hogi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)