Khaasi karte waqt peshaab nikalna

Q: Meri ammi umrah ke liye jana he lekin unko urine ka problem he ke jab wo khaasi (cough) karti he to wo napak hojati he. Is ka hal bata dejiye ke kiya hukam he?

A: Agar urine musalsal behta rehta he ke namaaz ke waqt ke shuroo se waqt ke akheer tak wudhu aur namaaz adaa nahi ki jaa sakti he uske behne ke baghayr to woh ma`zoor hogi. Ma`zoor ka hukm ye he ke waqt ke shuroo me eik baar wudhu karle aur phir jab tak us namaaz ke waqt baaqi rahe aur koi doosra naaqidhe wudhu na hoga to us eik wudhu barqaraar rahega agar che urine behta rahe. Aur agar ma`zoor na ho to jab bhi urine nikle to wudhu toot jayega.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)