Tahajjud ka waqt

Q: Me jaha rehti hu waha 5.30 fajar hoti. Is waqt ke hisaab se tahajjud ke liye saheeh waqt kiya hoga?

A: Aap kisee calendar me dekho ya jis maqaam me rehte ho waha ke imaam ya ahle musjid se pooch lo ke fajr ka waqt kab shuroo hota he. Jahaa fajr ka waqt shuroo hota he to us waqt tak tahajjud khatam ho jaata he. 

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)