Sunnat-e-muakkadah ko chorna

Q: Kiya sunnat namaaz ki qaza parhni chahiye or agar hum jaldi me ho apni job me busy ho to kiya sunnat chor sakte, bas farz ada karna kafi he?

A: Jab fard namaaz ka waqt khatam ho gaya, to us waqt ki sunnat namaaz ka waqt bhi guzar gaya. Sunnat namaaz ki qaza nahi hogee.

Sunnat-e-muakkadah ka chorna jaaiz nahi he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)