Shirkat me ek khaas miqdaar ka nafa muqarar karna

Q: Ek aadmi ne doosra aadmi ko 75000 doosra aadmi jo ke business me he, us ne wo paise apne business me invest karli aur keh diya ke uska nafa muqarrar kardiya 1500. Ab poochna ye tha ke pehla aadmi ke liye wo tay shuda nafa halaal he? Ye sood ya interest tu nahi?

A: Ye sood he. Shirkat me ek khaas miqdaar ka nafa muqarar karna jaaiz nahi he. Agar aap log us ko saheeh tareeqe par karna chahte he, to feesad ke hisaab se muta'ayan karsakte he. Misaal ke towr par, ek shareek ke liye 60% aur dowsre shareek ke liye 40%. Shirkat me sab shuraka nafa aur nuqsaan me shareek hote he. Nuqsaan ki soorat me har shareek apne sarmaaya ke hisaab se nuqsaan me shareek hoga.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)