Chaar rakaat sunnat me At-tahiyyaat ke ba'd durood-e-Ebrahim ghalati se shuru karna

Q: Agar 4 rakaat namaaz me ghalti se doosri rakaat me at-tahiyaat ke ba'd durood shuru kar de aur sath hi yaad ajaye to kiya sajda sahw karna pare ga?

A: Agar chaar sunnat e muakadah me aisa howa (jaise zohar ki chaar sunnat ya jummah ki chaar sunnat me), to sajdah e sahw waajib hogee.

Ye hukam us surat me he jub us ne Allaahuma sali ala Muhammad par phoncha ya us se ziyaada parha, to sajdah e sahw waajib hogee. Agar lafz Muhammad se phehle yaad aawe aur phir wo ruk jaawe, to sajdah e sahw waajib nahi hogee.

Lekin agar sunnat e ghair muaakadah me ye huwa (jaise asr ki chaar sunnat me) ya kisi chaar rakat nafil me, to sajdah e sahw waajib nahi hogee.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)