Maslak aur firqa me farq

Q: Maslak kiya he? Firqa kiya he? 

Four fiqh school of thoughts me kiya faraq he? Aqeede ki correctness kiya he; Deobandi, Wahhabi, Sunni, Barelvi, Shia.

Me is maslak me kon se hu aur firqa kon se hu?

A: Umooman maslak eik mushtarak khiyaal he ke fula us maslak ki he, yani us khiyaal ka he. Firqah umooman ahle baatil keliye istimaal kya jaata he.

Hamaare ulama ka kehna he ke ye chaar mazaahib saheeh he. Koi baatil ke oopar nahi he. Unme jiski taqleed ka ittibaa kya Insha Allah saheeh rehbari ho jaaye.

Aqeedah me jo ghayr islami ghalat qism ka khiyaalaat aur tareeqe he unka inkaar kya jaaye. Ye kitaab "Ikhtilaaf-e-Ummat aur Siraat-e-Mustaqeem" jis ka musannif Moulana Yusuf Ludhyaanwi (rahmatullahu alaih) he, uska mutala karo. Aapko kaafi baseerat haasil ho jaaye insha Allah.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: