Sheikh Abdul Qadir Jilani (rahmatullah alaihi) par 'shahbaz-e-lamakni' ka lafz mansoob karna

Q: Ek sawal he ke kuch aqeedatmand Shaikh Abdul Qadir Jilani (rahmatullah alaihi) par 'shahbaz-e-lamakni' ka lafz mansoob karte he, aur jawab me kehte he ke is lafz ke istilaahi aur lagwi maani alag he wagaira, agar kisi ke zaat se aisi sifaat ko mansoob karna gunah he jo us me he hi nahi to kiya un aqeedatman par ye kehna ke wo gumrahi me he, kaisa?

A: Islam me ghalat nisbat karna aur mubaalaghah se kaam lena saheeh nahi. Aur kabhi is tarah se mubaalaghah buzurgo ke shaan me us se shirk tak ki naubat pohonchti he. Lihaza is baab me bare ihtiyaat se kaam lena bohot dharoori he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: