Shaadi se pehle biwi ko azaad karna

Q: Agar shaadi se pehle biwi kisi wajah se apni shohar se ye kahe ke mujhe chor do aur shohar us se ye kahe ke agar aap mere saath khush nahi he to apne liye decide karle, haalanke shohar ka niyyat talaq ka bilkul nahi ho. Is ke jawab me biwi kahe ke me bilkul khush ho lekin me kisi doosri wajah se keh rahi ho.

Phir is mouzoo par baat karte karte kuch time bad shohar pooche ke aap mujh se aazad hone ke bad kiya karonge aur biwi kahe ke mera bas shadi karne ka mood nahi he aur me kabhi bhi shaadi nahi karonga to shohar us ke baat ko complete karne ke liye agar ye kahe ke aao bas aaj se start lete he aur kuch nahi karte he (dil me shaadi ka kehna murad ho) khatam. Aur phir biwi pooche kiya nahi karenge bas khatam aur is lafaz "khatam" ke kehne se shohar ka matlab sirf shadi ho aur dil me ye ho ke biwi kuch time bad zaroor shadi ke liye kahengi. To in alfaz se nikah par koi asar to nahi para?

A: Ye sab baate shaadi se pehle huwi to nikaah ke oopar uska koi asar nahi parta.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: