Kiya waalid ki wiraasat me marhoom beta or beti ka hissa hota he?

Q: Marhoom waalid ki wiraasat me kiya marhoom beta or beti ka hissa hota he jab ke dono beta or beti ki aulaad zinda ho.

A: Agar waalid pehle margaye aur waalid ke marne ke ba`d phir unke aulaad margaye aur abhi tak meeraath ko taqseem nahi kiya gaya to phir meeraath ko oopar se taqseem hogi. Pehle waalid ke wurasaa me taqseem kiya jaaye. Aur wurasaa par taqseem karne ke ba`d unke aulaad par taqseem kiya jaayega shareeat ke muwaafiq.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)