Haidh ke khoon band hojane par mubaasharat karna

Q: Aurato ke haiz ki dino me aksar aurato ke saath aisa hota he ke un ka haiz ka pani sirf 3 se 4 din aata he aur us ke bad khatam, matlab sookh jata he. To kiya wo paani sookh jane ke bad un ke shohar un k saath mubaashirat kar skte he? Kiya aisa karna jaaiz ho ga?

A: Agar khoon band hogaya aadat ke din par, to mubaasharat jaaiz hoga. Lekin agar khoon band huwa, aadat se pehle, to aadat ke din tak intizaar karna zaroori he. Jab aadat ke din guzar jaaye, to mubaasharat jaaiz hoga.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)