Adaa huwi namaazo ko dobarah parhna

Q: Meri umar 19 saal he. Me baaligh hone se ab tak ki tamaam namaze parhna chahta hu. In me qaza namaze bhi he aur adaa bhi he. Me qaza namazo ke saath adaa namaze bhi durust karna chahta hu.

Mera sawal ye he ke jo adaa namaze me durust karna chahta hu kiya un ko bhi qaza ki niyyat se parhu? Agar nahi to is ki kiya niyyat hogi?

A: Jo adaa namaaz he to usko adaa ki niyyat se parhenge. Aur fardh namaaz eik hee martabah parhi jaati he. Doosri martabah parhne ki gunjaaish nahi chaahe jo bhi niyyat ho.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)