Adaa huwi namaazo ki qadha karna

Q: Mere baligh hone se ab tak kul namazo ki tadaad 2774 he. In me qaza bhi he. Wo adaa bhi he jo mene ilm na hone ki waja se ghalatiyo ke sath ya jaldi jaldi adaa ki. Aur wo adaa bhi he jo mene durust parhe. Lekin kissi ki bhi tadaad ka ilm nahi ke kitni qaza he kitni nuqsan aur karahat ke sath ada kin aur kitni durust adaa kin. Main iss liye kul namazain 2774 parhna chahta hu.

1. Me kul namaze kis niyat se parhu ke sab adaa ho jaye. Mere ilm ke mutabiq agar me sab me qaza ki niyyat se parhu to jo adaa namaze mene ghalatiyo ke sath ya jaldi jaldi parhi wo reh jaaye gi.

2. Mene ek mufti sahab se suna tha k qaza namaze kaam na hon beshak ziyada ho jaaye ke baaqi nafl ho jaaye gi. 

A: Jo namaaze karaahat se ada hogayi ya nuqsaan se ada ho gayi ba shart ye ke uske andar faraaidh ada ho gaye ho to uska qadha to nahi he. Aur jin namaazo me faraaidh choot gayi ho ya seedhe se namaaz choot gayi to unka qadha karna dharoori he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)