Quraan pe haath rakh kar qasam khana

Q: Me ne Quraan pak pe hath rakh ke kisi se wada kiya tha ke aainda kuch khas kaam he jo nahi karun ga phir ab wo kam karna para he to kiya me kar sakti hu kaffara de kar aur kaffara kiya ho ga is ka? Me ne Quraan pe hath rakh ke wada kiya apni marzi se.

A: Agar aapne qasam tordiya kisee saheeh gharz ki wajah se to ye saheeh he. Albatta uska kaffaarah ada karna hoga. Kaffaarah ya to das ghareeb ko khana khilaao do waqt par ya har ghareeb ko sadaqatul fitr ke barabar do.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)