Hajj ya umrah ke bad ihraam ka kapra se kiya karna chaahiye?

Q: Ihram ke liye jo kapra istimal hota he uska kiya karne chahiye umrah ya hajj ke baad?

Mera ek dost Saudi Arab se ihram ka istimal shuda kapra Pakistan le aya tha aur usne us kapre ko zameen per bicha ker us par bajri daal di thi to log usko keh rahe he ke tumne ihram ki be hurmati kar di he.

A: Kisee aur kaam keliye istimaal kya jaa sakta he.

Ye koi be-ihtiraami nahi he. Durust he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)