Logo se baat karne par ghabrahat tari ho jaana

Q: Mera masla ye he ke jab bhi kisi se baat karti hu to ghabrahat tari ho jati he. Saheeh se baat nahi kar paati. Aur agar naya admi ho to bilkul baat nahi kar paati. Jo kehna chahti hu wo baat nahi nikalti bulke kuch ghalat baat keh deti hu. Phir baad mein sharmindgi hoti hai. Mere liye dua kare aur koi wazeefa batane ki meharbani kare.

A: Bolne se phehle aap ko sochna chahiye ke jo baat aap bolna chaahe, wo baat munaasib he ya nahi, agar wo baat munaasib he to phir bole. Warna na bole.

Namaaz ke bad ye dua parhe.

اللَّهُمَّ أَلْهِمْنِي رُشْدِي، وَأَعِذْنِي مِنْ شَرِّ نَفْسِي

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: