Waajibul iaada namaaz ki niyyat

Q:

1. Waajibul iaada namaz ki niyyat kis tarah hoti ha? Kiya is me qaza ki niyyat karte h?

2. Agar Zaid pehle kabhi kabhi namaz parhta ho aur jo namaze parhe wo bhi pehle masaail maloom na hone ki wajah se baaz durust aa rahe aur baaz karahat ke saath. Ab wo sab namaze dobara parhna chahta he lekin qaza ada aur wajibul iaada ki tadaad ka ilm nahi. Zaid kis niyyat se namaz parhe ke sab(qaza, wajibul iaada) sab adaa ho jaaye. Koi mushtaraka niyyat dono ho tu zaroor bataaye.

3. Agar Zaid saahib-e-tarteeb banane ke liye ab tak ki kul namaze qaza ki niyyat se parh le ke usse yaqeen haasil ho jaaye ke ab us ke zimme koi qaza namaz nahi aur wo saahib-e-tarteeb ban gaya to kiya ye amal durust he? Agar haa tu agar kuch qaza namaze zaaid ho jaaye tu un ka kiya hukum ho ga? Kiya wo nafl ho jaayengi?

4. Zaid ko nahi maloom ke safar ki haalat me kitni namaze qaza huwi tu agar Zaid sab namaze puri parh le tu kiya qaza ada ho jaayengi? Zaid is surat me kiya kare?

A:

1. Nahi. Bas usko duhraow na ke qadha ki niyyat se.

2. Faqat qadha ki namaaz parhe. Waajibul iaadah namaaze ko na parhe.

3. Jee.

4. Jee. Agar usne ye namaaze poori parhli jahaalat se to namaaz ho gayi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)